Jhonka hawa ka aata hoga ab bhi
Dil ko tumhare choo jata hoga ab bhi
Kahin koi aawaj meri sunti ho kya,
Aahat se mann machal jata hoga ab bhi
Chhat par do pal ruk kar mujhe socha tha kya,
Naam mera yaad aata hoga ab bhi
Kitne acche the wo pal jo sath bite,
Mann koi geet gungata hoga ab bhi
Kab dhoop khili,ya shyam dhali,
Kyu waqt yuhi guzar jata hoga ab bhi
Koi shakhs mile raahon mai mujhsa to,
Chehra mera dhoondlata hoga ab bhi
Ye kaise pal hain, ye kaisa mahol chhaya hai,
Har pehar thehar jata hoga ab bhi
Kya sirf meri yaadon main ho tum,
Ya tum b gumsum rehti ho mujhme
Kya sirf meri aankhen hi nam hai,
Ya tum bhi palke bhighoti ho gum mai
Ye swal mere hain tujhse, bolo
Kuch yaad tumhe b aata hoga ab bhi
Hua arsa jab bicchde the hum dono,
Par dil ka gum sehlata hoga ab bhi.....
Thursday, April 20, 2017
Yaad aata hoga ab bhi....
Subscribe to:
Posts (Atom)